WELCOME TO THE HOME PAGE OF SURENDRA KUMAR

SHER -O- SHAYARII
Home | MY ALBUM | LOVE DREAMS | MY RESUME | ABOUT ME | FAVORITE LINK | CONTACT ME | SHER -O- SHAYARII

Enter subhead content here

  • aa.Nkh me.n thii hayaa har mulaaqaat par
    surKh aariz hue vasl kii baat par
    us ne sharmaa ke mere savaalaat par
    aise gardan jhukaa_ii mazaaa aa gayaa
  • duniyaa se jaa rahaa huu.N kafan me.n chhipaaye muu.Nh
    afasos baad marane ke aa_ii hame.n hayaa
  •  izhaar-e-mohabbat par is tarah vo sharmaaye
    sab kii hayaa merii aa.Nkho.n me.n utar aa_ii
  • sharmaa ke yuu.N na dekhiye lillaah baar baar
    aisaa na ho ki pyaar ke chashme ubal pa.De.n
  • vo aa_iine me.n dekh rahe the bahaar-e-husn
    aayaa meraa Khayaal to sharmaa ke rah gaye
  • vo sharmaaye baiThe hai.n gardan jhukaaye
    Gazab ho gayaa ik nazar dekh lenaa
  • bikher de jo vo zulfo.n ko apane mukha.De par
    to maare sharam ke aa_ii hu_ii ghaTaa phir jaaye
  • aa.Nkh me.n thii hayaa har mulaaqaat par
    surKh aariz hue vasl kii baat par
    us ne sharmaa ke mere savaalaat par
    aise gardan jhukaa_ii mazaaa aa gayaa
  • raah-e-vafaa me.n ham ko Khushii kii talaash thii
    do gaam hii chale the ke har gaam ro pa.De
  • hamane har gaam pe sajdo.n ke jalaaye hai.n charaaG
    ab terii rahaguzar rahaguzar lagatii hai
  • is raah-e-muhabbat me.n tuu saath agar hotaa
    har gaam pe gul khilate Khushbuu kaa safar hotaa
  • jin ke liye mar bhii gaye ham
    vo chal kar do gaam na aaye
  • qaasid ke aate aate Khat ik aur likh rakhuu.n
    mai.n jaanataa huu.n jo vo likhe.nge jawaab me.n
  • tere Khushbuu mein base Khat mai.n jalaataa kaise
    pyaar me.n Duube hue Khat mai.n jalaataa kaise
    tere haatho.n ke likhe Khat mai.n jalaataa kaise
    tere Khat aaj mai.n gangaa me.n bahaa aayaa huu.N
    aag bahate hue paanii me.n lagaa aayaa huu.N
  • vo bhii shaayad ro pa.De viiraan kaaGaz dekh kar
    mai.n ne use aaKhirii Khat me.n likhaa kuchh bhii nahii.n
  • Khat to bhejaa hai par ab Khauf yahii hai dil me.n
    mai.n ne kyaa us ko likhaa aur vo kyaa samajhegaa
  • dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai
    aaKhir is dard  kii davaa kyaa hai
  • mere dil me.n tuu hii tuu hai dil kii davaa kyaa karuu.N
    dil bhii tuu hai jaa.N bhii tuu hai tujhape fidaa kyaa karuu.N
  • kisii ko de ke dil ko_ii navaa sa.nj-e-fuGaa.N kyo.n ho
    na ho jab dil hii siine me.n to phir muu.Nh me.n zabaa.N kyo.n ho
  • rahate the kabhii jinake dil me.n ham jaan se bhii pyaaro.n kii tarah
    baiThe hai.n unhii.n ke kuuche me.n ham aaj gunahagaaro.n kii tarah
  • dil kaa kyaa ho gayaa, Khudaa jaane
    kyo.n hai aisaa udaas kyaa jaane
  • ko_ii aahaT ko_ii aavaaz ko_ii chaap nahii.n
    dil kii galiyaa.n ba.Dii sunasaan hai aae ko_ii
  • dil naaumiid to nahii.n naakaam hii to hai
    lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai











  •  
  •  

Enter supporting content here